Browse songs by

aurat ne janam diyaa mardon ko

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

aurat ne janam diyaa mardo.n ko, mardo.n ne use baazaar diyaa
jab jii chaahaa kuchalaa masalaa, jab jii chaahaa dutkaar diyaa

tulatii hai kahii.n diinaaro.n me.n, bikatii hai kahii.n baazaaro.n me.n
na.ngii nachavaaii jaatii hai, aiyyaasho.n ke darabaaro.n me.n
ye vo beizzat chiiz hai jo, ba.nT jAtI hai izzatadaaro.n me.n

mardo.n ke liye har zulm ravaa.N, aurat ke liye ronaa bhii khataa
mardo.n ke liye laakho.n seje.n, aurat ke liye bas ek chitaa
mardo.n ke liye har aish kaa haq, aurat ke liye jiinaa bhii sazaa

jin hoTho.n ne inako pyaar kiyaa, un hoTho.n kaa vyaapaar kiyaa
jis kokh me.n inakaa jism Dhalaa, us kokh kaa kaarobaar kiyaa
jis tan se uge kopal ban kar, us tan ko zaliil-o-khAr kiyaa

mardo.n ne banaayii jo rasme.n, unako haq kaa faramaan kahaa
aurat ke zindaa jal jaane ko, kurbaanii aur balidaan kahaa
qismat ke badale roTii dii, usako bhii ehasaan kahaa

sa.nsaar kii har ek besharmii, gurbat kii god me.n palatii hai
chakalo.n me.n hii aa ke rukatii hai, faako.n me.n jo raah nikalatii hai
mardo.n kii havas hai jo aksar, aurat ke paap me.n Dhalatii hai

aurat sa.nsaar kii qismat hai, fir bhii taqadiir kii hotii hai
avataar payambar janatii hai, phir bhii shaitaan kii beTii hai
ye vo badaqismat maa.N hai jo, beTo.n kii sez pe leTii hai

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)
% Comments: Pankha Road se Pintu Diwana [9]
%	 Hats off to Sahir, can't believe it was not itransed YET!
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image