Browse songs by

chhaa_ii birahaa kii raat moraa ta.Dape jiyaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

( chhaa_ii birahaa kii raat
moraa ta.Dape jiyaa
mose ruuThe piyaa
ko_ii man kaa sahaaraa nahii.n
ho ko_ii man kaa sahaaraa nahii.n ) -2

( pal bhar me.n TuuT gaye sapano.n ke motii
aa.Nsuu me.n Duub ga_ii naino.n kii jyotii ) -2
naino.n kii jyotii
suune-suune se hai.n aaj
mere aashaa ke dwaar
na_iyaa kaise lage paar
jab saamane kinaaraa nahii.n
ho ko_ii man kaa sahaaraa nahii.n

( man kaa singaar meraa kisane hai chhiinaa
haatho.n se chhuuT ga_ii aashaa kii biinaa ) -2
aashaa kii biinaa
kho_ii-kho_ii sii hai aaj
mere jiiwan kii priit
ga_uu.N ro-ro ke ye giit
mere naino.n kaa taaraa nahii.n
ho ko_ii man kaa sahaaraa nahii.n

chhaa_ii birahaa kii raat
moraa ta.Dape jiyaa
mose ruuThe piyaa
ko_ii man kaa sahaaraa nahii.n
ho ko_ii man kaa sahaaraa nahii.n

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image