Browse songs by

duniyaa kii nazar hai burii zulfe.n na sa.Nvaaraa karo

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ra : duniyaa kii nazar hai burii zulfe.n na sa.Nvaaraa karo
gii : jaa_o-jaa_o be_iimaan balamaa hame.n taane na maaraa karo
ra : duniyaa kii nazar ...

dekh zaraa tuu mu.D ke zaalim sadake aisii chaal ke
gii : mere saamane aanaa balam dil ko zaraa sa.mbhaal ke
ra : aa tere qadamo.n pe dil rakh duu.N gorii jab bhii ishaaraa kare
gii : jaa_o-jaa_o be_iimaan ...

baato.n hii baato.n me.n ajii ban baiThe diladaar kyo.n
ra : apanaa banaa ke paas bulaa ke phir hamase taqaraar kyo.n
gii : jaa_o tumhe.n paas bulaayaa kisane zaraa duur se nazaaraa karo
ra : duniyaa kii nazar ...

ek to tiikhe nainaa uupar se kajare kii dhaar re
gii : ho jaa_e naa paar jigar ke dodhaarii talavaar re
ra : haay tere pyaar ke maare hai.n nazaro.n se na maaraa karo
duniyaa kii nazar ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image