Browse songs by

hame.n apanaa ... Gam nahii.n gar zi.ndagii viiraan hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

miinaa kumaarii
hame.n apanaa ilaaz-e-dard-e-dil karanaa bhii aataa hai
ham aise jiine waale hai.n jinhe.n maranaa bhii aataa hai

Gam nahii.n
( Gam nahii.n gar zi.ndagii viiraan hai
ishq par ye jaan bhii qurbaan hai ) -2
Gam nahii.n gar zi.ndagii viiraan hai

hamane sab kuchh kho ke sab kuchh paa liyaa -2
apane dil ko har tarah har tarah samajhaa liyaa
ab ko_ii hasarat hai naa aramaan hai -2
Gam nahii.n gar zi.ndagii viiraan hai
ishq par ye jaan bhii qurbaan hai
Gam nahii.n gar zi.ndagii viiraan hai

chand aa.Nsuu pyaar kii daulat nahii.n -2
ro ke jiine me.n ko_ii ko_ii lazzat nahii.n
ha.Ns ke mar jaanaa wafaa kii shaan hai
ishq par ye jaan bhii qurbaan hai

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image