Browse songs by

hasiin chaa.Nd\-sitaaro.n kaa vaastaa aa jaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

aa : hasiin chaa.Nd-sitaaro.n kaa vaastaa aa jaa
dha.Dakate dil ke ishaaro.n kaa vaastaa aa jaa
hasiin chaa.Nd-sitaaro.n ...

ta : mujhe pukaarane vaale mai.n kaash aa sakataa
jhukaataa sar tere qadamo.n me.n gar jhukaa sakataa
aa : tere baGair gulistaa.N hai meraa viiraanaa
bahaar leke bahaaro.n kaa vaastaa aa jaa
hasiin chaa.Nd-sitaaro.n ...

ta : tujhe talaash bahaaro.n kii phir nahii.n hotii
jigar ke daaG agar tujhako mai.n dikhaa sakataa
aa : phir ek baar mohabbat kii aabaruu rakh le
Gariib dil kii pukaaro.n kaa vaastaa aa jaa
hasiin chaa.Nd-sitaaro.n ...

ta : na tuu pukaarataa mujhako na mai.n ta.Dap jaataa
nasiib biga.De hu_e dil agar milaa sakataa
aa : nasiib ruuTh gayaa hai to ruuTh jaane de
magar nasiib ke maaro.n kaa vaastaa aa jaa
hasiin chaa.Nd-sitaaro.n ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image