Browse songs by

hawaa hai ThaNDii ... ulfat kii zi.ndagii ke jo

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

chi: hawaa hai ThaNDii ThaNDii chaa.Ndanii hai yaar hai ham hai.n
la: magar hai zi.ndagii sau saal kii sau saal to kam hai.n
ulfat kii zi.ndagii ke jo saal ho.n hazaar
tum hamase ham bhii tumase jii bhar ke kare.n pyaar kare.n pyaar
do: tum hamase ham bhii tumase jii bhar ke kare.n pyaar kare.n pyaar

ra: do din kii zi.ndagii me.n kyaa kyaa kare ko_ii
kyaa kyaa kare ko_ii
chi: do din me.n kyaa jiye ko_ii kyaa mare ko_ii
kyaa kyaa kare ko_ii
ra: duniyaa kii ek raat ho aashiq kii chaar chaar -2

do: tum hamase ham bhii tumase jii bhar ke kare.n pyaar kare.n pyaar
ulfat kii zi.ndagii ke jo saal ho.n hazaar
tum hamase ham bhii tumase jii bhar ke kare.n pyaar kare.n pyaar

la: o baato.n me.n biit jaaye.n
( baato.n me.n biit jaaye.n ye mausam-e-jawaanii
kaisii banaaye tuune maalik ye zi.ndagaanii
maalik ye zi.ndagaanii ) -2
baazii bahut hai chhoTii lambii hai jiit haar -2

do: tum hamase ham bhii tumase jii bhar ke kare.n pyaar kare.n pyaar
( ulfat kii zi.ndagii ke jo saal ho.n hazaar
tum hamase ham bhii tumase jii bhar ke kare.n pyaar kare.n pyaar ) -2

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image