Browse songs by

jaane kitane dukh sah kar ... dekhii terii duniyaa are

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

jaane kitane dukh sah kar patthar hiiraa banataa hai
baraso.n kii qurbaanii se insaan farishtaa banataa hai

dekhii terii duniyaa are dekhe tere kaam
kisii ghar me.n subah kisii ghar me.n shaam
dekhii terii duniyaa ...

ye duniyaa hai miit Kushii kii dukh me.n shaamil ko_ii nahii.n
sab hai.n ghaayal karane vaale iname.n ghaayal ko_ii nahii.n
jo auro.n ke dard me.n ta.Dape kyaa aisaa dil ko_ii nahii.n hai -2
dekhii terii duniyaa ...

ik aa.Ngan me.n ujalii kirane.n ik aa.Ngan me.n hai a.Ndhiyaaraa
ik daaman me.n mahakii kaliyaa.N ik daaman me.n hai a.ngaaraa
apanaa sukh jo sabako baa.NTe dar-dar bhaTake vo dukhiyaaraa -2
dekhii terii duniyaa ...

siidhaa rastaa chalane vaalaa har ma.nzil pe Thokar khaa_e
sach ko duniyaa dhokhaa samajhe jhuuTh ke aage sar ko jhukaa_e
sabakaa hamadam sabakaa saathii is duniyaa me.n kuchh naa paa_e -2
dekhii terii duniyaa ...

dora.ngii chaal samay kii dukh me.n Thahare sukh me.n bhaage
chaahe dukh ho chaahe sukh ho dil hai vahii jo nis-din jaage
jo karataa hai jag me.n aisaa vo aataa hai usake aage
dekhii terii duniyaa ...

Comments/Credits:

			 % Credits: Srinivas Ganti
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image