Browse songs by

janam janam kaa hai ye naataa teraa meraa saajanaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

janam janam kaa hai ye naataa teraa meraa saajanaa
saath kabhii na chhuuTe pyaar kabhii na TuuTe baalamaa

banake sharmiilii dulhane.n saj-dhajake bahaare.n aa_e.Ngii.n
miiThii-miiThii sii Kushabuu se man kii bagiyaa mahakaa_e.Ngii.n
bas giit yahii duharaa_e.Ngii.n, amar rahegaa pyaar apanaa

mai.n saritaa tuu saagar hai mai.n badarii tuu saavan hai
mai.n chhavi huu.N su.ndar sapano.n kii tuu aashaa_o.n kaa darpan hai
tuu maajhii mai.n naiyaa terii, ye pyaar banaa patavaar apanaa

hai priit madhur sii raaginii jiivan biinaa ke taar kii
jo dekhii tere naino.n me.n hai amar vo jyoti pyaar kii
is paar kabhii us paar kabhii, hu_aa milan sau baar apanaa

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Arunabha S. Roy
% Date: 27 Aug 2003
% Series: GEETanjali
% generated using giitaayan
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image