Browse songs by

kah duu.N tumhe.n yaa chup rahuu.N

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ki : kah duu.N tumhe.n
aa : haa.N
ki : yaa chup rahuu.N
aa : naa
ki : dil me.n mere aaj kyaa hai
aa : kyaa hai
ki : kah duu.N tumhe.n yaa chup rahuu.N
dil me.n mere aaj kyaa hai
jo bolo to jaanuu.N guruu tumako maanuu.N
chalo ye bhii vaadaa hai
aa : achchhaa
ki : kah duu.N tumhe.n ...

aa : sochaa hai tumane ki chalate hii jaa_e.N
taaro.n se aage ko_ii duniyaa basaa_e.N
Thiik hai
ki : a.nhaa.N
aa ; to tum bataa_o
ki : bataa_uu.N
aa : haa.N
ki : sochaa ye hai ki tumhe.n rastaa bhulaa_e.N
suunii jagah pe kahii.n chhe.De.n sataa_e.N
aa : haay re naa naa
ye naa karanaa
are nahii.n re nahii.n re nahii.n re nahii.n re nahii.n nahii.n
ki : kah duu.N tumhe.n ...

aa : sochaa hai tumane ki kuchh gunagunaa_e.N
mastii me.n jhuume.n zaraa dhuume.n machaa_e.N
ab Thiik hai
ki : u huu.N
aa ; to tum bataa_o naa
ki : bataa_uu.N
aa : haa.N
ki : sochaa ye hai ki tumhe.n nazadiik laa_e.N
phuulo.n se ho.nTho.n kii laalii churaa_e.N
aa : haay re naa naa -2
ye naa karanaa
are nahii.n re nahii.n re nahii.n re nahii.n re nahii.n nahii.n
ki : kah duu.N tumhe.n ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image