Browse songs by

la.Dakii kyuu.N na jaane kyuu.N la.Dako.n sii nahii.n hotii

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

sha : la.Dakii kyuu.N na jaane kyuu.N la.Dako.n sii nahii.n hotii

sochatii hai zyaadaa, kam vo samajhatii hai -2
dil kuchh kahataa hai, kuchh aur hii karatii hai
la.Dakii kyuu.N na jaane kyuu.N la.Dako.n sii nahii.n hotii -2

sochatii hai zyaadaa, kam vo samajhatii hai -2
dil kuchh kahataa hai, kuchh aur hii karatii hai
la.Dakii kyuu.N na jaane kyuu.N la.Dako.n sii nahii.n hotii -2

pyaar use bhii hai magar shuruu_aat tumhii se chaahe
khud me.n ulajhii-ulajhii hai par baalo.n ko sulajhaaye

##i mean you're all the same,## yaar
ham achchhe dost hai.n, par us nazar se tumako dekhaa nahii.n
vo sab to Thiik hai par us baare me.n mai.nne sochaa nahii.n

sab se alag ho tum ye kah ke paas tumhaare aaye
aur kuchh din me.n tum me.n alag saa kuchh bhii na usako bhaaye

uf, ye kaisii ##shirt## pahanate ho
ye kaise baal kaTaate ho
gaa.Dii tez chalaate ho
tum jaldii me.n kyuu.N khaate ho
##gimme a break!##

tumhe.n badalane ko paas vo aatii hai
tumhe.n miTaane ko jaal bichhaatii hai
baato.n-baato.n me.n tumhe.n pha.nsaatii hai
pahale ha.Nsaatii hai
phir ba.Daa rulaatii hai
la.Dakii kyuu.N na jaane kyuu.N la.Dako.n sii nahii.n hotii -2

a : ai itanaa hii khud se Kush ho to piichhe kyuu.N aate ho
phuul kabhii to hazaar tohafe aaKir kyuu.N laate ho

apanaa naam nahii.n bataayaa aapane
qaa.cfii piine chale.nge?
mai.n aapako ghar chho.D duu.N
phir kab mile.nge?

bikharaa bikharaa bematalab saa TuuTaa phuuTaa jiinaa
aur kahate ho alag se hai.n ham taan ke apanaa siinaa

bhiigaa tauliyaa kahii.n farsh pe
##Toothpaste## kaa Dhakkan kahii.n
kal ke moze ulaT ke pahane
waqt kaa kuchh bhii hosh nahii.n

jiine kaa tumako Dha.ng sikhalaatii hai
tumhe.n jaanawar se insaa.N banaatii hai
usake binaa ek pal rah naa sakoge tum
usako pataa hai ye kah naa sakoge tum
isaliye la.Dakiyaa.N la.Dako.n sii nahii.n hotii.n -2

sha : jaane kaun-kaun se din vo tumako yaad dilaaye
pyaar ko chaahe.n bhuul bhii jaaye, taariiKe.n na bhulaaye

##first march## ko nazar milaa_ii
chaar ##april## ko mai.n milane aa_ii
ikkiis ##may## ko tumane chhu_aa thaa
chhH ##june## mujhe kuchh hu_aa thaa

a : la.Dako.n kaa kyaa hai kisii bhii mo.D pe vo mu.D jaaye.n
abhii kisii ke hai.n, abhii kisii aur se vo ju.D jaaye.n

tumhaare ##mummy daddy## ghar pe nahii.n hai.n
##great,## mai.n aa jaa_uu.N?
tumhaarii ##friend## akelii ghar jaa rahii hai
bechaarii, mai.n chho.D aa_uu.N? uf!

sha : ek haa.N kahane ko kitanaa dahalaatii hai
thak jaate hai.n ham vo jii bahalaatii hai

a : vo sharamaatii hai, kabhii chhupaatii hai
la.Dakii jo haa.N kah de, use nibhaatii hai
isaliye la.Dakiyaa.N la.Dako.n sii nahii.n hotii.n -2

Comments/Credits:

			 % Series: GEETanjali
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image