maaTii kahe kumhaar ko tuu kyaa ruu.Nde mohe - - Laxmi Shankar
- Movie: non-Film
- Singer(s): Laxmi Shankar
- Music Director:
- Lyricist: Kabir
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: unknown
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
(maaTii kahe kumhaar ko tuu kyaa ruu.Nde mohe
ek din aisaa hoyegaa mai.n ruu.Ndu.Ngii tohe)-2
(aaye hai.n so jaae.Nge raajaa ra.nk faqiir)-2
ek si.nghaasan cha.Dhi chale ek ba.Ndhe ja.njiir
durbal ko na sataaiye jaakii moTii haay
binaa jiibh ke swaas sau.n lauh bhasm ho_i jaay
chalatii chaakii dekhake diyaa kabiiraa roy
do paaTan ke biich me.n (baakii bachaa na koy)-2
dukh me.n sumiran sab kare.n sukh me.n kare na koy
jo sukh me.n sumiran kare.n to dukh kaahe hoy
(pattaa TuuTaa Daal se le ga_ii pawan u.Daay)-2
abake bichha.De kab mile.nge duur pa.De.nge jaay
kabiir aap Thagaa_iye aur na Thagiye koy
aap Thage sukh uupaje (aur Thage dukh hoy)-2
maaTii kahe kumhaar ko tuu kyaa ruu.Nde mohe
ek din aisaa aaegaa (mai.n ruu.Ndu.Ngii tohe)-2
Comments/Credits:
% Series: Sukhsaagar, Date = 28th Nov, 2003 % Collection of Doha written by Sant Kabir Das