Browse songs by

mailii chaadar o.Dhake kaise dwaar tumhaare aauu.N - - Hari Om Sharan

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

( mailii chaadar o.Dhake kaise dwaar tumhaare aauu.N ) - 2
he paawan parameshwar mere man hii man sharamaauu.N

tuune mujhako jaga me.n bhejaa nirmal dekar kaayaa
aakar ke sa.nsaar me.n mai.nne isako daag lagaayaa
janam-janam kii mailii chaadar kaise daag chhu.Daauu.N
mailii chaadar ...

nirmal vaaNii paakar tujhase naam na teraa gaayaa
nain muu.ndakar he parameshwar kabhii na tujhako dhyaayaa
man viiNaa kii taare.n TuuTii ab kyaa giit sunaauu.N
mailii chaadar ...

in pairo.n se chalakar tere ma.ndir kabhii naa aayaa
jahaa.N-jahaa.N ho puujaa terii kabhii na shiish jhukaayaa
he harihar mai.n haar ke aayaa ab kyaa haar cha.Dhaauu.N
mailii chaadar ...

Comments/Credits:

			 % Contributor: Surma Bhopali
% Transliterator: Surma Bhopali
% Date: 9 Jan 2004
% Series: Sukhsaagar
% generated using giitaayan
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image