Browse songs by

melaa dilo.n kaa aataa hai ik baar

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

melaa dilo.n kaa aataa hai ik baar aake chalaa jaataa hai
aate hai.n musaafir jaate hai.n musaafir
jaanaa hii hai unako kyo.n aate hai.n musaafir
melaa dilo.n kaa ...

ha.Ns le gaa le ye din naa mile.nge kal
tho.Dii khushiyaa.n hai.n tho.De se ye pal
ek baar phir chalii jaa_e.n jo ye bahaare.n
lauT kar naa aa_e.ngii gujarii bahaare.n
melaa bahaaro.n kaa aataa hai ik baar aake chalaa jaataa hai
aatii hai.n bahaare.n jaatii hai.n bahaare.n
jaanaa hii hai unako kyo.n aatii hai.n bahaare.n
melaa dilo.n kaa ...

saajan ek tujh pe bharosaa hai
is bhii.D me.n ek tuu hii meraa hai
mausam badale badale zamaanaa
vaadaa kiyaa jo vaadaa nibhaanaa hai
haatho.n kii lakiire.n gaa_e.n ye taraanaa
mar kar bhii ye rishtaa hai hamako nibhaanaa
melaa dilo.n kaa ...

aa_ii re javaanii jaise rut tuufaanii
pagalii ye diivaanii mai.n kyaa karuu.n
melaa javaanii kaa aataa hai ik baar aake chalaa jaataa hai
aatii hai javaanii jaatii hai javaanii
jaanaa hii hai usako kyo.n aatii hai javaanii
melaa dilo.n kaa ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image