Browse songs by

milane kii tum koshish karanaa ... vaadaa to TuuT jaataa hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

milane kii tum koshish karanaa vaadaa kabhii na karanaa
vaadaa to TuuT jaataa hai
milane kii tum koshish ...

jab bhii teraa jii chaahe tuu paas mere aa jaanaa
meraa pyaar bas tere li_e hai tuu na kabhii ghabaraanaa
lekin sapano.n me.n milane kii kabhii na koshish karanaa
sapanaa to TuuT jaataa hai

hotii hai.n bedard bahut hii is duniyaa kii rasme.n
mushkil kar detii hai.n nibhaanaa pyaar vafaa kii kasame.n
shiishe jaise aramaa.n lekar raaho.n se na guzaranaa
shiishaa to TuuT jaataa hai
milane kii tum koshish ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image