Browse songs by

na jaane kyuu.n hamaare dil ko tumane dil nahii.n samajhaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

na jaane kyuu.n hamaare dil ko tumane dil nahii.n samajhaa
na jaane kyuu.n
( ye shiishaa to.D Daalaa ) - 2 pyaar ke qaabil nahii.n samajhaa
na jaane kyuu.n

( hamaaraa pyaar dekho aur hamaaraa hausalaa dekho ) - 2
muhabbat kaa junuu.n hamako kahaa.N tak le chalaa dekho
( tumhii.n ne jaan le lii ) - 2 aur tumhe.n kaatil nahii.n samajhaa
na jaane kyuu.n ...

ta.Dap dii bhii to aisii dii ke mushkil ho gayaa jiinaa
chalaaye tiir wo tumane ke chhalanii ho gayaa siinaa
( aur usapar ye sitam hai ) - 2 ke hame.n ghaayal nahii.n samajhaa
na jaane kyuu.n ...

( muhabbat kaa ye jaaduu ek din sar cha.Dh ke bolegaa ) - 2
har ik aa.Ndhii har ik tuufaan ko daaman me.n le legaa
( muhabbat ne kisii bhii ) - 2 kaam ko mushkil nahii.n samajhaa
na jaane kyuu.n ...

Comments/Credits:

			 % Contributor: Surma Bhopali
% Transliterator: Surma Bhopali
% Date: 2 Dec 2003
% Series: GEETanjali
% generated using giitaayan
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image