Browse songs by

na shikawaa hai koii na koii gilaa hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

(na shikawaa hai koii na koii gilaa hai)-3
salaamat rahe tuu ye merii duaa hai
na shikawaa hai koii
(bahut hii kaThin hai.n mohabbat kii raahe.n)-2
zaraa bach ke chalanaa zamaanaa buraa hai
na shikawaa hai koii

(ajab terii mahafil me.n dekhaa tamaashaa
kahii.n raushanii hai kahii.n hai a.Ndheraa)-2
kahii.n hai a.Ndheraa
(muqaddar chiraaGo.n ke badale hue hai.n)-2
koii bujha rahaa hai koii jal rahaa hai
na shikawaa hai koii

(mubaarak tujhe ho tere dil kii duniyaa
merii zi.ndagii kaa koii Gam na karanaa)-2
koii Gam na karanaa
(ye sab gardishe.n hai.n nasiibo.n kii pyaare)-2
na merii Kataa hai na terii Kataa hai
na shikawaa hai koii

Comments/Credits:

			 % Contributor: Animesh Kumar
% Transliterator: Animesh Kumar
% Date: 20 May 2005
% Series: LATAnjali
% Credits: Rahul Upadhyay, Balaji Murthy, Afzal A Khan
% Comments: generated using www.giitaayan.com
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image