Browse songs by

nuktaachii.n hai Gam\-e\-dil usako sunaaye na bane - Mirzaa Ghaalib

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

aa aa aa

nuktaachii.n hai, Gam-e-dil usako sunaaye na bane
usako sunaaye na bane
kyaa bane baat jahaa.N baat banaaye na bane
nuktaachii.n hai, Gam-e-dil

Gair phirataa hai liye yuu.N tere Kat ko ke agar
ko_ii puuchhe ke ye kyaa hai to chhupaaye na bane
nuktaachii.n hai, Gam-e-dil

mai.n bulaataa to huu.N usako magar ai jazbaa-e-dil
us pe ban jaaye kuchh aisii ki bin aaye na bane -2
nuktaachii.n hai, Gam-e-dil

ishq par zor nahii.n hai ye vo aatish Gaalib -2
ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane
nuktaachii.n hai, Gam-e-dil usako sunaaye na bane

Comments/Credits:

			 % Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)
% Credits: U.V. Ravindra
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image