Browse songs by

paNDit jii ne haath meraa dekhaa thaa nainiitaal me.n

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

pa.nDit jii ne haath meraa dekhaa thaa nainiitaal me.n
kahaa thaa mujhase
kyaa kahaa
shaadii terii hogii aThaarah saal me.n

pa.nDit jii ne haath meraa dekhaa thaa bhopaal me.n
kahaa thaa pyaare
kyaa kahaa
kabhii naa pa.Danaa shaadii ke ja.njaal me.n
pa.nDit jii ne haath meraa ...

aThaarah saal aur ek mahiine kii mai.n ho ga_ii raajaa
gho.De haathii sa.ng baraatii leke jaldii se aajaa
baaho.n ke haar se bhar de maa.ng pyaar se
chain mujhe aa_egaa jab mai.n aa_uu.ngii sasuraal me.n
pa.nDit jii ne haath meraa ...

shaadii shudaa mardo.n kii haalat dekhii hai maine raanii
maine sunii hai logo.n se dukhabharii unakii kahaanii
jaa piichhaa chho.D de shiishaa-e-dil to.D de
mai.n naa pha.nsane vaalaa huu.N terii adaa_o.n ke jaal me.n
pa.nDit jii ne haath meraa ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image