Browse songs by

pyaar huaa iqaraar huaa hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

pyaar huaa iqaraar huaa hai
pyaar se phir kyo.n Darataa hai dil
(kahataa hai dil, rastaa mushkil
maaluum nahii.n hai kahaa.N ma.nzil ) - 2
pyaar huaa iqaraar huaa ...

dil kahe is maa.ng ko, mai.n taaro.n se sa.nvaar duu.N
tumase nayaa sa.nsaar luu.N, tumako nayaa sa.nsaar duu.N
chaa.Nd aur suuraj, diip gagan ke
is dharatii pe utaar duu.N
aahaa haa aahaa haa, aa ...
pyaar huaa iqaraar huaa ...

raato.n daso.n dishaao.n se, kahe.ngii apanii kahaaniyaa.N
priit hamaare pyaar kii, doharaae.ngii javaaniyaa.N
mai.n na rahuu.Ngii, tum na rahoge
phir bhii rahe.ngii nishaaniyaa.N
aahaa haa aahaa haa, aa ...
pyaar huaa iqaraar huaa ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
% Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image