Browse songs by

rim\-jhim ke giit saavan gaae, haay

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ra: rim-jhim ke giit saavan gaae, haay
bhiigii-bhiigii raato.n me.n
la: ho.nTho.n pe baat dilakii aae, haay
bhiigii-bhiigii raato.n me.n

la: teraa meraa puuchhe naataa
ba.Dii vo ye ghaTaa gha.nghor hai
chup huu.N aise me.n kah do kaise
meraa saajan nahii.n tuu koii aur hai
ke teraa naam, ho.nTho.n pe mere, tere...
sapane merii aa.Nkho.n me.n

ra: rim-jhim ke giit saavan gaae, haay
bhiigii-bhiigii raato.n me.n

ra: meraa dil bhii hai diivaanaa
tere nainaa bhii hai.n naadaan se
kuchh na sochaa, kuchh na dekhaa
kuchh bhii puuchhaa na is a.njaan se
chal pa.De saath ham aise, kaise
banake saathii, raaho.n me.n (?)

ra: rim-jhim ke giit saavan gaae, haay
bhiigii-bhiigii raato.n me.n

ba.Dii lambii jii kii baate.n
ba.Dii chhoTii barakhaa kii raat jii
la: kahanaa kyaa hai, sunanaa kyaa hai
kahane sunane kii ab kyaa baat hai
ra/la: bin kahe, bin sune dil ne dilase
kar lii.n baate.n, baato.n me.n

ra: rim-jhim ke giit saavan gaae, haay
bhiigii-bhiigii raato.n me.n
la: ho.nTho.n pe , baat dilakii aae, haay
bhiigii bhiigii raato.n me.n...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Date: 08/09/1995
% Credits: Madhuri Jarwala (mnj@neuron.pr.att.com) 
%          Ashok Dhareshwar 
% Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image