Browse songs by

R^itu aa_e R^itu jaa_e sakhii rii

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

##Gaud Sarang##
R^itu aa_e R^itu jaa_e sakhii rii
man ke miit na aa_e
jeTh mahiinaa jiyaa ghabaraa_e
pal pal suuraj aag lagaa_e
duuje birahaa agan lagaa_e
karuu.N mai.n kaun upaay
R^itu aa_e R^itu jaa_e sakhii rii

##Gaud Malhar##
barakhaa R^itu bairii hamaar
jaise saas nanadiyaa
pii darasan ko jiyaraa tarase
a.Nkhiyan se nit saavan barase
rovat hai kajaraa nainan kaa
bi.ndiyaa more ???
barakhaa R^itu bairii hamaar

##Jogiya##
pii bin suunaa jii
patajha.D jaisaa jiivan meraa
man bin tan jyuu.N jal bin nadiyaa
jyo.n mai.n suunii binaa saa.Nvariyaa
auro.n kii to rain a.Ndherii
par hai meraa din bhii a.Ndheraa
pii bin suunaa jii

##Bahar##
aa_ii madhur R^itu basa.nt bahaar rii
phuul phuul par bhramar guu.Njat
sakhii aa_e nahii.n bha.Nvar hamaar rii
aa_ii madhur R^itu basa.nt bahaar rii
kab lag nainan dvaar sajaa_uu.N
diip jalaa_uu.N diip bujhaa_uu.N
kab lag karuu.N si.ngaar re
aa_ii madhur R^itu basa.nt bahaar rii
aa_ii madhur R^itu basa.nt bahaar rii, bahaar rii, bahaar rii

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Arunabha S. Roy
% Date: March 20, 2002
% generated using giitaayan
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image