Browse songs by

saawan ke baadalo unase ye jaa kaho

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

zo : ( saawan ke baadalo
unase ye jaa kaho ) -2
taqadiir me.n yahii thaa
saajan mere naa ro
saawan ke baadalo

ka : ( ghanaghor ghaTaavo
mat jhuum ke aavo ) -2
yaad unakii sataayegii
tum-tum yahaa.N naa ho
saawan ke baadalo

zo : ( jis din se judaa ham hai.n
aa.Nkhe.n merii puranam hai.n
aa.Nkhe.n merii puranam hai.n ) -2
ro-ro ke mai.n mar jaa_uu.N
dukh terii balaa ko
saawan ke baadalo

ka : ( chhe.Do naa hame.n aa ke
baraso kahii.n aur jaa ke
baraso kahii.n aur jaa ke ) -2
wo din naa rahe apane
raate.n naa rahii.n wo
saawan ke baadalo

zo : saawan ke baadalo
unase ye jaa kaho

Comments/Credits:

			 % Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image