Browse songs by

sakhii rii nahii.n aa_e sajanawaa mor

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

sakhii rii nahii.n aa_e sajanawaa mor
paapii papiihaaraa pii ghar aawe
more a.nganaa shor machaawe
mujh birahan kaa jiyaa jalaawe
aag lage nainan nagarii,
jal jaawe karamawaa mor
sakhii rii nahii.n aa_e ...

jhuuTe the sab vaade un ke
jhuuTii thii.n sab qasame.n
jab se ga_e vo bhuul ga_e
ulafat kii saarii rasame.n
yaad pa.De akhiyaa.n barase.n
hirde me.n lagat hai shor
sakhii rii nahii.n aa_e ...

kis ko sunaa_uu.n
kaun sune gaa dard bharaa afasaana
har pal aise guzare jaise
guzaraa ek zamaanaa
uja.D ga_ii duniyaa dil kii
kit jaa_e base chit chor
sakhii rii nahii.n aa_e ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image