Browse songs by

sapano.n kii suhaanii duniyaa ko

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

sapano.n kii suhaanii duniyaa ko
aa.Nkho.n me.n basaanaa mushkil hai
apano.n se bataanaa mushkil hai
gairo.n se chhupaanaa mushkil hai

meraa bachapan biit chukaa hai
dil kaa la.Dakapan baakii hai
mai.n apane aap ko samajhaa luu.N
par dil ko manaanaa mushkil hai
sapano.n kii suhaanii duniyaa ko ...

ehasaan teraa kaise bhuuluu.N
tere Gam ke sahaare zi.ndaa huu.N
varanaa in jaatii saa.Nso.n kaa
phir lauT ke aanaa mushkil hai
sapano.n kii suhaanii duniyaa ko ...

raah kisii kii huii na roshan
meraa jalanaa yuu.N hii gayaa
ham aag lagaa baiThe hai.n magar
ye aag bujhaanaa mushkil hai
sapano.n kii suhaanii duniyaa ko ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
% Credits: Hrishi Dixit
% Comments: The lyrics of the third stanza bear a resemblance to
%           Kishore's "jin raato ki bhor nahi hai" from Door Gagan Ki Chhaon
%           Me, also written by Shailendra.
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image