Browse songs by

sar\-e\-mahafil jo jalaa parawaanaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ra : sar-e-mahafil jo jalaa parawaanaa -2
kar gayaa naam-e-wafaa parawaanaa -2
su : shammaa se siikhe wafaa parawaanaa -2
ye jalii hai to jalaa parawaanaa -2

ra : mar ke bhii rah na sakaa shammaa se duur -2
Kaaq ban-ban ke u.Daa parawaanaa -2
su : raat bhar shammaa kha.Dii jalatii rahii -2
is tarah jal na sakaa parawaanaa -2

ra : jaan de dii wahii.n kuchh der na kii -2
shammaa se pahale jalaa parawaanaa -2
su : shammaa kii aag me.n jalane aayaa -2
Kud na kyuu.N Kaaq hu_aa parawaanaa -3

ra : apanii lau me.n to sabhii jalate hai.n -2
shammaa kii lau me.n jalaa parawaanaa -3
kar gayaa naam-e-wafaa parawaanaa -2

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image