Browse songs by

siine me.n aag bha.Dakatii hai ... ai ishq hame.n barabaad na kar

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

su : siine me.n aag bha.Dakatii hai aa.Nkho.n se paanii bahataa hai
kuchh aisii choT lagii dil par dil ro-ro kar ye kahataa hai

ai ishq hame.n barabaad na kar -4

dil to.D ke man kaa miit gayaa
ham haar gaye Gam jiit gayaa
Kushiyo.n kaa zamaanaa biit gayaa
Kushiyo.n kaa zamaanaa yaad na kar

ra : ai ishq hame.n barabaad na kar -2

kyuu.N rote hai.n do diiwaane
bedard zamaanaa kyaa jaane
bedard zamaane se ai dil
ummiid na rakh fariyaad na kar

su : ai ishq hame.n barabaad na kar -2

pahale to qafas me.n qaid kiyaa
saiyyaad ne phir ye huqm diyaa
ho.nTho.n ko sii ashqo.n ko pii
aa.Nsuu na bahaa fariyaad na kar

su : ai ishq hame.n barabaad na kar -4

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image