Browse songs by

subah\-subah ... mathuraa nagarapati kaahe tum gokul jaao

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

subah-subah, subah-subah

subah-subah kaa khyaal aaj
vaapas gokul chale mathuraa raaj
mathuraa nagarapati kaahe tum gokul jaao
manohar veSh chho.D na.ndaraaj
sar se utaarake su.ndar taaj
raaj da.nD chho.D bhuumi par vaaj
phir kaahe baa.Nsurii bajaao
mathuraa nagarapati kaahe tum gokul jaao -2

kaun saa anokhaa giit gaahe pik kuul
raaj paaTh jaise aaj bhayii dhuul
kaun saa anokhaa giit gaahe pik kuul
birahana laagii phir hR^idaya bhuul
raaj-kaaj man naa lagaao
mathuraa nagarapati kaahe tum gokul jaao -2

pur naarii saarii vyaakul nayana
kusum sajjaa lage ka.nTaka shayana
pur naarii saarii vyaakul nayana
raat bhar maadhava jaagat bechaina
kaahe aadhii raat saarathii bulaao
mathuraa nagarapati kaahe tum gokul jaao

dhiire-dhiire pahu.Nchata jamunaa ke tiir
sunasaan panaghaTa mR^idul samiira
dhiire-dhiire pahu.Nchata jamunaa ke tiir
khan-khan maadhav biraha ma.njiir
use kaahe bhuul na paao
mathuraa nagarapati kaahe tum gokul jaao -2

tumharii priyaa ab puurii gharavaalii
duudh navan ghivu din bhar khaalii
birahaa ke aa.Nsuu kab ke, ho, kab ke po.nchh Daalii
phir kaahe dard jagaao
mathuraa nagarapati kaahe tum gokul jaao

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Arunabha S Roy
% Date: 29 Mar 2005
% Series: GEETanjali
% generated using www.giitaayan.com
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image