Browse songs by

suNo shaab ... baap bhalaa na bhayyaa ... sabase bhalaa rupayyaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

chi : suNo shaab, suNo shaab, o bhaa_ii suNo

apane des suu nikale the ham le ke luTiyaa-Dorii
kau.Dii-kau.Dii jo.Dii ban gaye laalaa aaj karo.Dii
mhaaro naam seTh karo.Dii
paas hamaare hatthii gho.Daa phalTan fauj sipahiyaa
lekin aise kaise baNe ham

ra : bol duu.N baapuu
chi : bol de beTaa

ra : ( baap bhalaa na bha_iyaa bha_iyaa
sabase bhalaa rupaiyaa ) -2

do : sabase bhalaa rupaiyaa, haay rupaiyaa haay rupaiyaa
bha_iyaa sabase bhalaa rupaiyaa
ra : baap bhalaa na bha_iyaa bha_iyaa
sabase bhalaa rupaiyaa

chi : ho ( rupay se sab banate hai.n kaam
duniyaa hai rupaye kii Gulaam ) -2
jhuuTo raam-ramaiyaa bha_iyaa -2
sabase bhalaa rupaiyaa
do : ( baap bhalaa na bha_iyaa bha_iyaa
sabase bhalaa rupaiyaa ) -2

ra : baapuu ho baapuu
chi : are kii hai baraKuradaar

ra : kahanaa to nahii.n chaahiye lekin kyaa karuu.N huu.N laachaar
chi : kii hai bol bhii
ra : o kheto.n ke us paar -2
rahatii hai gorii gorii, Gariib kisaan kii chhorii
mujhe hai isase pyaar baapuu mujhe hai isase pyaar
chi : haay, kii kahe, kii kahe, pyaar kii hoy aa.Ny pyaar kii hoy
ham to ek hii baat jaaNe

la : bol duu.N baapuu
chi : bol de beTaa

la : baap bhalaa na bha_iyaa bha_iyaa
sabase bhalaa rupaiyaa
do : baap bhalaa na bha_iyaa bha_iyaa
sabase bhalaa rupaiyaa

la : o jhuuThii hai sab priit-muhabbat
duniyaa me.n sachchii hai daulat
jhuuThii hai sab priit-muhabbat
jhuuThii hai sab priit-muhabbat
duniyaa me.n sachchii hai daulat
chi : hamarii jiivan-na_iyaa ko bas
paisho paar laga_iyaa bha_iyaa paisho paar laga_iyaa
hamarii jiivan-na_iyaa ko bas
paisho paar laga_iyaa bha_iyaa
sabase bhalaa rupaiyaa

do : ( baap bhalaa na bha_iyaa bha_iyaa
sabase bhalaa rupaiyaa ) -2

ra : Thiik hai baapuu, mai.n jaataa huu.N
aap to jaane.n hai.n mai.n beqasuur huu.N
liken majabuur huu.N
chi : are kaThe jaaye, kaThe jaay, merii baat bhii to suN

chi : terii Kaatir dekhii hai ek raajakumaarii, hai ek raajakumaarii
jaa gho.Daa lay aa -2
kar jaaNe kii taiyaarii -2
hiire kii ha.Nsalii da_uu.Ngo, motii ko haar da_uu.Ngo
lekin badale me.n raajaa se, ek-ek ke hajaar la_uu.Ngo
ra : kyaa shaadii bhii hai byopaar
chi : haa.N beTaa, ek-ek ke baNe hajaar
ii kalamu.Nhii ko chho.D, tuu pyaar se mu.Nh mo.D
are paise se naataa jo.D
ra : Thiik hai baapuu, maanataa huu.N mai.n aapakii baat
laa_iye wo jevaraat
chi : leh le, ba.Dhaa do_uu haath, e gho.Daa laa_o gho.Do

ra : baapuu jii raam-raam
hamane banaa liyaa hai kaam -2
aap jaise baap kii suurat bhii dekhanii hai haraam -2
la : jo beTe ke lagaate hai.n daam, aur karate hai.n biich bazaar nilaam
chi : e e e kii kahe, kii kahe
hamaarii saarii umar kii kamaa_ii ga_ii, chho.Do re
haay da_iyaa

la : bol duu.N baapuu
chi : haa.N haa.N bol de beTaa

do : ( baap bhalaa na bha_iyaa bha_iyaa
sabase bhalaa rupaiyaa ) -2
sabase bhalaa rupaiyaa, haay rupaiyaa, haay rupaiyaa
bha_iyaa sabase bhalaa rupaiyaa
sabase bhalaa rupaiyaa, haay rupaiyaa, haay rupaiyaa

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image