Browse songs by

tasaviir banaataa huu.N tasaviir nahii.n banatii

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

tasaviir banaataa huu.N, tasaviir nahii.n banatI, tasaviir nahii.n banatI
ek khvaab saa dekhaa hai, taabIr nahii.n banatI, tasaviir nahii.n banatI
tasaviir banaataa huu.N ...

bedard muhabbat kA, itanaa saa hai afasaanaa - 2
nazaro.n se milii nazare.n, mai.n ho gayaa dIvaanaa
ab dil ke bahalane kii, tadabIr nahii.n banatI, tasaviir nahii.n banatI
tasaviir banaata huu.N ...

dam bhar ke liye merI, duniyA me.n chale aao - 2
tarasii huI aa.Nkho.n ko, phir shakl dikhaa jaao
mujhase to merI biga.Dii, takadIr nahii.n banatI, tasaviir nahii.n banatI
tasaviir banaata huu.N ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Credits: Faez Nasrudin Kaiser (nasrudin@glue.umd.edu)
%          Ayyagari Bhuvaneshwari (ayyagari@charlie.ece.scarolina.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image