Browse songs by

terii ba.njaaran raastaa dekhe

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

terii ba.njaaran raastaa dekhe
kab aa_egaa mere banjaare -2
o tuu nahii.n aayaa aa ga_e saare
kab aa_egaa mere ...

duur bahut thaa desh teraa
pahu.nchaa nahii.n sa.ndesh meraa
sapano.n ke raajaa jaldii se aa jaa
der na kar saajan pyaare
kab aa_egaa mere ...

aisaa na ho ki tuu na aa_e -2
Dolii aur ko_ii le jaa_e -2
ta.Dap ta.Dap ke taras taras ke
mai.n mar jaa_uu.n Gam ke maare
terii ba.njaaran raastaa dekhe ...

sapano.n me.n sapanaa to.D gayaa tuu
aag sulagatii chho.D gayaa tuu
phuulo.n pe chalake lagataa hai aise
paa.Nv ke niiche hai.n a.ngaare -2
kab aa_egaa mere ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image