Browse songs by

udaas udaas fizaao.n me.n ... aanaa hii pa.Degaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

##The slow lines before the main song:##

udaas udaas fizaao.n me.n nuur chhalakaao
bujhe bujhe hue taaro.n ko ha.Ns ke chamakaao
Gurur-e-husn salaamat na raah dikhalaao
rabag Duub gayaa, khuune ab to aa jaao (?)

aanA hii pa.Degaa, aanaa hii pa.Degaa
sar ishq ke kadamo.n pe jhukaanaa hii pa.Degaa
aanaa hii pa.Degaa

( nagamaa meraa har saa.Ns me.n ras ghol rahaa hai
is saa.Ns ke parade me.n khudaa bol rahaa hai ) - 2
chhe.Daa hai agar saaz to gaanaa hii pa.Degaa - 2
sar ishq ke kadamo.n pe jhukaanaa hii pa.Degaa
aanaa hii pa.Degaa
aanaa hii pa.Degaa aa aa

( Tapakegaa lahuu dard bhare raag se kab tak
khelegii terI mast adaa aag se kab tak ) - 2
is khel me.n ab haath jalaanaa hii pa.Degaa - 2
sar ishq ke kadamo.n pe jhukaanaa hii pa.Degaa
aanaa hii pa.DegA
aanaa hii pa.Degaa aa aa

( ulfat kabhii duniyA se Daregii nA Darii hai
phuulo.n se javAnI ne sadaa maa.Ng bharii hai ) - 2
ha.Nsane ke liye zakhm to khaanaa hii pa.Degaa - 2
aanA hii pa.DegA - 4

% * Ab sawwal ye hai ke Shyaama aayi ya nahiin ?
% Bilkul bhaagati aayi aur sar bhi jhukaaya kadmon mein :)

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)
% Comments: The next one is a lovely song sung at a little faster pace than
%           Talat's usual slow ballads. He even has a moustach in this one.
%           Singing under a tree with a mandolin ?. Well don't know what the
%          instrument is.
% Credits : Neha Desai
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image