Browse songs by

ye jo zi.ndagii hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

sukh: jo afasaane dil ne bune
unako koii dil hii sune
ham haule haule pyaar kii dhu.ndalii fizaao.n me.n aaye
gahare gahare hai.n Kvaab kii niilii ghaTaao.n ke saaye
ham tum dono.n khoye khoye
sapane dekhe.n jaage soye
gumasum hairaa.N

ko: (ye jo zi.ndagii hai koii daastaa.N hai
kab hogaa kyaa ye khabar kahaa.N hai
ye jo zi.ndagii hai koii kaaravaa.N hai
kahaa.N jaayegii ye khabar kahaa.N hai) -2

sujaa:bahatii hai.n chi.ngaariyaa.N jaise
sar se paa.Nv tak nas nas me.n
halkaa halkaa hosh hai lekin
kuchh bhii nahii.n ab mere bas me.n

mere a.ng a.ng me.n bechainii bijalii banake laharaaye
ek miiThe miiThe dard kaa baadal tan man par chhaaye
saa.Nse.n ulajhe dha.Dake ye dil
jaane kaise merii mushkil
hogii aasaa.N

ko: (ye jo zi.ndagii hai koii daastaa.N hai
kab hogaa kyaa ye khabar kahaa.N hai
ye jo zi.ndagii hai koii kaaravaa.N hai
kahaa.N jaayegii ye khabar kahaa.N hai) -3

sukh: are kaash merii in aa.Nkho.n kii ab roshanii bujh jaaye
mai.n ne dekhaa thaa jo Kvaab vo mujhako na kabhii yaad aaye
aise barase Gam ke tiishe
TuuTe dil ke saare shiishe
dil hai viiraa.N

ko: (ye jo zi.ndagii hai koii daastaa.N hai
kab hogaa kyaa ye khabar kahaa.N hai
ye jo zi.ndagii hai koii kaaravaa.N hai
kahaa.N jaayegii ye khabar kahaa.N hai) -2

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Hrishi Dixit
% Date: Jan 20, 2000
% Comments: Geetanjali series
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image