Browse songs by

zaraa sii baat kaa huzuur ne fasaanaa kar diyaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

zaraa sii baat kaa huzuur ne fasaanaa kar diyaa
aise ruuThe ho ji sai.nyyaa ki diivaanaa kar diyaa

mukhase na bolii, mai.n to yuu.N hii zaraa ban ke
itanii sii baat pe jii chal diye tan ke
bas itanii baat kaa huzuur ne fasaanaa kar diyaa
aise ruuThe ho ...

pyaar me.n tere aise jiyaa moraa dha.Dake
kahanii pa.Dii hai dil kii baat nazar se
nazar kii baat kaa, huzuur ne fasaanaa kar diyaa
aise ruuThe ho ...

jab se lagaayii tore pyaar kii bindiyaa
chain dino.n kaa khoyaa, raato.n kii nindiyaa
mere din raat kaa huzuur ne fasaanaa kar diyaa
aise ruuThe ho ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image