1.      aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai
        taaqat-e-bedaad-e-intazaar  naheeN hai

        [ qaraar = rest/repose, bedaad = injustice ]

2.      dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
        nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai

        [ hayaat = life, dahar = world, ba_andaaza = according to,
          KHummaar = intoxication ]

3.      giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko
        haay !  ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai

        [ giriya = weeping, iKHtiyaar = control ]

4.      hamse 'abas hai gumaan-e-ranjish-e-KHaatir
        KHaak meiN ushshaaq kee GHubaar naheeN hai

        [ 'abas = indifferent, gumaan = suspicion, ranjish = unpleasantness,
          KHaak = ashes/dust, ushshaaq = lovers, GHubaar = clouds of dust ]

5.      dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma'anee
        GHair-e-gul aainaa-e-bahaar naheeN hai

        [ ma'anee = meanings, GHair-e-gul = blossoms ]

6.      qatl ka mere  kiya  hai 'ahad to baare
        waae ! akhar 'ahad ustuwaar naheeN hai

        [ 'ahad = promise, baare = at last, ustuwaar = frim/determined ]

7.      toone qasam mai_kashee kee khaaee hai 'GHalib'
        teree  qasam  ka kuchch  'eitbaar naheeN  hai !

        [ mai_kashee = boozing, 'eitbaar = trust/faith ]

Maintained by smriti.com.

Comments and Suggestions are welcome.