Browse songs by

ham maze duur se jalawo.n ke liye jaate hai.n

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ham maze duur se jalawo.n ke liye jaate hai.n
ye wo pyaale hai.n jo aa.Nkho.n se piye jaate hai.n

tum merii arz-e-tamanna pe Kafaa hote ho
in Kataa_o.n pe to in_aam diye jaate hai.n

fasl-e-gul aayii nasheman se Kabaradaar raho
isii mausam me.n to barabaad kiye jaate hai.n

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image