khoyaa\-khoyaa chaa.nd, khulaa aasamaa.n
- Movie: Kaala Bazaar
- Singer(s): Mohammad Rafi
- Music Director: S D Burman
- Lyricist: Shailendra Singh
- Actors/Actresses: Waheeda Rehman, Dev Anand
- Year/Decade: 1960, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
khoyaa-khoyaa chaa.nd, khulaa aasamaa.n
aa.Nkho.n me.n saarii raat jaaegii
tumako bhii kaise nii.nd aaegii, ho
khoyaa-khoyaa ...
mastii bharii, havaa jo chalii
khil-khil ga_ii, ye dil kii kalii
man kii galii me.n hai khalabalii
ki unako to bulaao, o ho ...
khoyaa-khoyaa chaa.nd ...
taare chale, nazaare chale
sa.ng-sa.ng mere vo saare chale
chaaro.n taraf ishaare chale
kisii ke to ho jaao, o ho ...
khoyaa-khoyaa chaa.nd ...
aisii hii raat, bhiigii sii raat
haatho.n me.n haath, hote vo saath
kah lete unase dil kii ye baat
ab to naa sataao, o ho ...
khoyaa-khoyaa chaa.nd ...
ham miT chale, jinake liye
bin kuchh kahe, vo chup-chup rahe
koii zaraa ye unase kahe
na aise aajamaao, o ho ...
khoyaa-khoyaa chaa.nd ...
Comments/Credits:
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)