mai.n panchhii aazaad meraa kahii.n duur Thikaanaa re
- Movie: Tadbir
- Singer(s): K L Saigal
- Music Director: Lal Mohomed
- Lyricist: Swami Ramanand
- Actors/Actresses: Suraiyya, Mubarak, K L Saigal, Salvi, Zillobai
- Year/Decade: 1945, 1940s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
mai.n panchhii aazaad -2
meraa kahii.n duur Thikaanaa re
mai.n panchhii aazaad
meraa kahii.n duur Thikaanaa re
us duniyaa ke baaG me.n meraa -2
aanaa-jaanaa re
jiivan ke parabhaat me.n aa_uu.N -2
saa.Njh Dhale
saa.Njh Dhale to mai.n u.D jaa_uu.N -2
bandhan me.n ko_ii mujhako baa.Ndhe -2
wo duaa naa de -2
mai.n panchhii aazaad -2
meraa kahii.n duur Thikaanaa re
dil me.n kisii yaad aaye
aa.Nkho.n me.n mastii laharaaye -2
janam-janam kaa meraa kisii se -2
pyaar puraanaa re -2
mai.n panchhii aazaad -2
meraa kahii.n duur Thikaanaa re
us duniyaa ke baaG me.n meraa -2
aanaa-jaanaa re