mere piyaa gaye ra.nguun
- Movie: Patanga
- Singer(s): Shamshad Begum, C Ramchandra
- Music Director: C Ramchandra
- Lyricist: Rajinder Krishan
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: 1949, 1940s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
##Man (not necessarily Chitalkar's voice, could be actor) talking:
Hello,##hindustaan kaa deharaaduun?
##Hello,##mai.n ra.nguun se bol rahaa huu.N
mai.n apanii bIvii renukaa devii se baat karanaa chaahataa huu.N
haa.n haa.n
sh: mere piyaa; ho mere piyaa gaye ra.nguun
kiyaa hai vahaa.N se TelIfuun
(tumhaarii yaad sataatii hai - 2) jiyaa me.n aag lagaatii hai
mere piyaa gaye ra.nguun kiyaa hai vahaa.N se TelIfuun
(tumhaarii yaad sataatii hai)- 2 jiyaa me.n aag lagaatii hai
ci: (ham chho.D ke hindustaan (bahut pachhataaye - 2) - 2
huii bhuul jo tumako saath nA lekar aaye - 2
ham barmaa kii galiyo.n mai.n aur tum ho deharaaduun
(tumhaarii yaad sataatii hai - 2) jiyaa me.n aag lagaatii hai
sh: (merii bhuukh pyaas bhii kho gaye (gam ke maare- 2) - 2
mai.n adhamuii sii ho gaI Gam ke maare - 2
tum bin, saajan, janavarii faravarii ban gaye me aur juun
(tumhaarii yaad sataatii hai - 2) jiyaa me.n aag lagaatii hai
C: (ajii tumase bichha.Dake ho gaye (ham sanyaasii - 2) - 2
khaa lete hai.n jo mil jaaye ruukhii suukhii baasii - 2
ajii luu.ngii baa.Ndh, ke kare.n guzaaraa bhuul gaye pataluun
(tumhaarii yaad sataatii hai - 2) jiyaa me.n aag lagaatii hai
Comments/Credits:
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % Comments: a stage: Man on telepone; Burmese backdrop; man is surrounded % by slim dancing Burmese beauties. Other half of stage, lady on % telephone; empty residential street backdrop.