morii bhagati me.n shyaam samaayo - - Talat
- Movie: non-Film
- Singer(s): Talat Mehmood
- Music Director:
- Lyricist:
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: unknown
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
(morii bhagati me.n shyaam samaayo)-2
mai.n raakhuu.N pal kaN kor(?)
morii bhagati me.n shyaam samaayo
jaako dekhuu.N wo ban jaa_e
naTakhaT na.nd kishor
morii bhagati me.n shyaam samaayo
paat-paat me.n ba.nsii baaje
sur laharii par juganu naache
(shyaam ke ra.ng me.n rain ra.ngii hai)-2
sapane bha_e chakor
morii bhagati me.n shyaam samaayo
chhal na sakoge mohe muraarii
mai.n sab jaanuu.N Tehuu tihaarii
(jii bhar khelo aa.Nkh micholii)-2
gopiyan ke chitachor
morii bhagati me.n shyaam samaayo
jaa_e kahuu.Ngaa mai.n raadhaa se
morii bane na ab kaanhaa se
(apane man kii wo manawaa_e)-2
baa.Ndh priit kii Dor
morii bhagati me.n shyaam samaayo
mai.n raakhuu.N pal kaN kor
(morii bhagati me.n shyaam samaayo)-2
Comments/Credits:
% Transliterator: Animesh Kumar % Date: 16 July 2003 % Series: Sukhsaagar