o maa.njhii chal tuu chale to chham\-chham baaje
- Movie: Aya Sawan Jhoom Ke
- Singer(s): Mohammad Rafi
- Music Director: Laxmikant, Pyarelal
- Lyricist: Anand Bakshi
- Actors/Actresses: Dharmendra, Asha Parekh, Aruna Irani
- Year/Decade: 1969, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
o maa.njhii chal -4
tuu chale to chham-chham baaje maujo.n kii paayal
o maa.njhii chal, o maa.njhii chal, o maa.njhii chal, o o maa.njhii
chal
(teraa jiivan nadiiyaa kii dhaar hai
tan hai naiyyaa, man patavaar) -2
sun o maa.njhii, maujo.n kii pukaar hai
thaam le tuu
thaam le tuu masta pavan kaa, laharaataa aa.nchal
o maa.njhii chal, o maa.njhii chal, o maa.njhii chal, o o maa.njhii
chal
(aashaao.n se naataa joD le
ye niraashaa ke ba.ndhan toD de) -2
sun o maa.njhii, aaj kaa gam tuu chhoD de
aaj to piichhe
aaj to piichhe rah gayaa hai, saamane hai kal
o maa.njhii chal, o maa.njhii chal, o maa.njhii chal, o o maa.njhii
chal
Comments/Credits:
% Transliterator: Pradip Shah