raato.n ko jab nii.nd u.D jaae
- Movie: Mem Didi
- Singer(s): Lata Mangeshkar, Chorus
- Music Director: Salil Choudhary
- Lyricist: Shailendra Singh
- Actors/Actresses: Tanuja, David, Jayant, Lalita Pawar, Kesi Mehra
- Year/Decade: 1961, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
Lata: raato.n ko jab nii.nd u.D jaae
gha.Dii gha.Dii yaad ko_ii aae
kisii bhii suurat se bahale na dil
tab kyaa kiyaa jaae bolo kyaa kiyaa jaae -------- x 2
chorus: ye to pyaar kaa rog hai rog buraa
jise ek dafaa ye lagaa to lagaa -------- x 2
Lata: ahaahaaaaa~~~~~~~
Lata: cha.ndaa ko dekh, aag lag jaae
tanaha_ii me.n chaa.Ndanii na bhaae
Tha.nDii havaao.n me.n kaa.Npe badan
tab kyaa kiyaa jaae bolo kyaa kiyaa jaaye
chorus: ye to pyaar kaa rog hai rog buraa
jise ek dafaa ye lagaa to lagaa -------- x 2
L: ahahaaaaa~~~~
Lata: ho.nTho.n pe ek naam aae jaae
aa.Nkho.n me.n ek chhab muskaae
da^rpaN me.n suurat paraa_ii dikhe
tab kyaa kiyaa jaae bolo kyaa kiyaa jaae
C: ye to pyaar kaa rog hai rog buraa
jise ek dafaa ye lagaa to lagaa -------- x 2
L: ahahahaaa~~~~~~
Lata: sakhiyo.n ke biich dil ghabaraae
Dar ho kahii.n baat khul jaae
lekin akele me.n dha.Dake jiyaa
tab kyaa kiyaa jaae bolo kyaa kiyaa jaaye
C: ye to pyaar kaa rog hai rog buraa
jise ek dafaa ye lagaa to lagaa -------- x 2
L: ahahahhaaaa~~~~~
Lata: raato.n ko jab nii.nd u.D jaae
gha.Di gha.Di yaad koii aae
kisii bhii suurat se bahale na dil
tab kyaa kiyaa jaae bolo kyaa kiyaa jaae
Comments/Credits:
% Transliterator: Surajit Bose % Date: Thu May 7, 1998