saathii re, tujh bin jiyaa udaas re
- Movie: Poonam Ki Raat
- Singer(s): Lata Mangeshkar
- Music Director: Salil Choudhary
- Lyricist: Shailendra Singh
- Actors/Actresses: Manoj Kumar, Kumud Chugani
- Year/Decade: 1965, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
saathii re saathii re
tujh bin jiyaa udaas re
ye kaisii an_bujh pyaas re
aajaa aajaa
saathii re ...
dono.n jahaa.N se duur yahaa.N mai.n
bhaTak rahii mai.n jaane kahaa.N mai.n
saathii re ...
naa mai.n kaayaa, naa mai.n chhaayaa
phir kyo.n Dole, man bharamaayaa man bharamaayaa
saathii re ...
pyaar kii mai.n an_buujhii kahaanii
kuchh jaanii aur kuchh an_jaanii
saathii re ...
Comments/Credits:
% Transliterator: K Vijay Kumar