shaq nahii.n rupaye me.n paa_ii kaa
- Movie: Raagrang
- Singer(s): Lata Mangeshkar
- Music Director: Roshan
- Lyricist: Sarshar Sailani
- Actors/Actresses: Geeta Bali
- Year/Decade: 1952, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
shaq nahii.n rupaye me.n paa_ii kaa
duniyaa hai naam safaa_ii kaa
ye duniyaa heraa pherii hai
kabhii terii hai to kabhii merii hai
tu.ndunaa tu.ndunaa shuur, kalii kali.ngan shuur
o o o baabuujii, o baabuujii, khel safaa_ii kaa
shaq nahii.n ...
chaTak chaTak chaTakaare lekar
sunane vaale mere taraane
muft baarii ke gaye zamaane
jald nikaalo do do aane
o naa naa ek aanaa ham nahii.n maa.Ngataa
din hai ye maha.ngaa_ii kaa
shaq nahii.n ...
dhan daulat ke matavaalo.n kii
har baat niraalii hotii hai
baazaar me.n nikale diivaalaa
aur ghar me.n diivaalii hotii hai
hai ye bhii ra.ng kamaa_ii kaa
shaq nahii.n ...
Comments/Credits:
% Transliterator: K Vijay Kumar % Date: May 11, 1998 % Comments: LATAnjali series