teraa jaanaa dil ke aramaano.n kaa luT jaanaa
- Movie: Anaadi
- Singer(s): Lata Mangeshkar
- Music Director: Shankar, Jaikishan
- Lyricist: Shailendra Singh
- Actors/Actresses: Nutan, Raj Kapoor, Lalita Pawar
- Year/Decade: 1959, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
( tera jaanaa
dil ke aramaano.n kaa luT jaanaa ) -2
ko_ii dekhe -2
ban ke taqadiiro.n kaa miT jaanaa
teraa jaana
teraa Gam terii Kushii
meraa Gam merii Kushii
tujhase hii thii zindagii
ha.Ns kar hamane thaa kahaa
jiiwan bhar kaa saath hai
ye kal hii kii baat hai
aa
teraa jaanaa
dil ke aramaano.n kaa luT jaanaa
ko_ii dekhe -2
ban ke taqadiiro.n kaa miT jaanaa
teraa jaana
jab-jab chandaa aayegaa
terii yaad dilaayegaa
saarii raat jagaayegaa
mai.n ro kar rah jaa_uu.Ngii
dil jab zid par aayegaa
dil ko kaun manaayegaa
aa
teraa jaanaa
dil ke aramaano.n kaa luT jaanaa
ko_ii dekhe -2
ban ke taqadiiro.n kaa miT jaanaa
teraa jaana
Comments/Credits:
% Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)