Browse songs by

ye nayii nayii priit hai tuu hii to meraa miit hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

lataa: ye nayii nayii priit hai
tuu hii to meraa miit hai
naa jaane koii saajanaa
ye terii merii daastaa.n

talat: samaa hai ye pyaar kaa
naye iqaraar kaa
naa ho koii jahaa.N
banaa le.n vahii.n aashiyaa.n

lataa: ye nayii nayii priit hai

(lataa: nazar tumase milii aise
ke ham sharmaa gaye
talat: pukaaraa jab tere dil ne
to phir ham aa gaye ) - 2
lataa: kasam tumhe.n pyaar kii
isii iqaraar kii
naa jaane koii saajanaa
ye terii merii daastaa.n
talat: samaa hai ye pyaar kaa

(talat: nigaaho.n hii nigaaho.n me.n
kaho kyaa kar diyaa
lataa: mere daaman ko phuulo.n se
ye kisane bhar diyaa ) - 2
talat: chalo chal de.n vahaa.N
zamiin aur aasamaa.n
gale milate jahaa.N
banaa le vahii.n aashiyaa.n

latA: ye nayii nayii priit hai
tU hii to mera miit hai
naa jaane koii saajanaa
ye terii merii daastaa.n

##both:## samaa hai ye pyaar kaa
naye iqaraar kaa
naa ho koii jahaa.N
banaa le.n vahii.n aashiyaa.n
ye nayii nayii priit hai

Comments/Credits:

			 %	   Vandana Venkatesan (vandana@charlie.ece.scarolina.edu)
% Transliterator: Mani Upadhyaya (mani@eng.utoledo.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image