Browse songs by

ye vaadaa kare.n jahaa.N bhii rahe.n

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

mu : ye vaadaa kare.n jahaa.N bhii rahe.n -2
la : tum hamaare raho ham tumhaare rahe.n
ye vaadaa kare.n ...
do : ye vaadaa kare.n ...

la : kitanaa hasii.n hai sapanaa meraa
mai.n bhii terii dil bhii hai teraa
mu : dil ko milaa hai dil kaa sahaaraa
saath na TuuTe ab ye hamaaraa
muskaraate qadam ham milaa ke chale.n
ye vaadaa kare.n ...
la : tum hamaare raho ...
do : ye vaadaa kare.n ...

mu : gul hai.n hazaaro.n is gulistaa.N me.n
tujhasaa na ko_ii saare jahaa.N me.n
la : tujhase mohabbat merii hu_ii hai
tum jo mile ho duniyaa milii hai
har zamaane kii nazare.n bachaa ke chale.n
ye vaadaa kare.n ...
mu : tum hamaare raho ...
do : ye vaadaa kare.n ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image