1.      ghar jab bana liya hai tere dar par kahe baGHair
        jaanega  ab bhee too na  mera ghar  kahe baGHair

2.      kehte  haiN, jab  rahee na mujhe  taaqat-e-suKHan
        jaanooN kisee ke dil ki maiN kyoNkar kahe baGHair

        [ taaqat-e-suKHan = strength to speak ]

3.      kaam us'se aa paDa hai ki jiska jahaan meiN
        lewe na koee naam 'sitamgar'  kahe  baGHair

        [ sitamgar = oppressor ]

4.      jee meiN hee kuchch naheeN hai hamaare, wagarna ham
        sar jaaye  ya rahe,  na  rahaiN  par  kahe  baGHair

5.      choDooNga maiN na us  but-e-kaafir ka poojna
        choDe na  KHalq go mujhe kaafir kahe baGHair

        [ but = idol/lover, KHalq = world ]

6.      maqsad hai naaz-o-GHamza, wale guftagoo meiN kaam
        chalta  naheeN hai, dashna-o-KHanjar kahe baGHair

        [ GHamza = amorous glance, dashna = dagger ]

7.      har  chand  ho  mushaahit-e-haq   ki  guftagoo
        bantee naheeN hai baada-o-saaGHar kahe baGHair

        [ mushaahit = God, baada = wine ]

8.      behra hooN maiN to chaahiye doona ho iltafaat
        sunta naheeN hooN  baat muqarrar kahe baGHair

        [ iltafaat = mercy, muqarrar = again ]

9.      'GHalib' na kar huzoor meiN too baar-baar 'arz
        zaahir hai tera haal  sab un par kahe  baGHair

Maintained by smriti.com.

Comments and Suggestions are welcome.