1.	meharbaaN ho ke bulaa lo mujhe chaaho jis waqt
	maiN gayaa waqt nahiN hooN ke phir aa bhi na sakooN
 
2.	zauf meiN taanaa-e-aGHyaar ka shikwaa kyaa hai?
	baat kuchh sar to nahiN hai ke uThaa bhi na sakooN

        [ zauf = weakness, taana = taunt, aGHayaar = enemy,
          shikawa = complaint ]

3.	zahar miltaa hi nahiN mujhko sitam_gar warnaa
	kyaa qasam hai tere milne ki ke khaa bhi na sakooN

        [ sitamgar = oppressor ]

Note: This GHazal is often confused with another GHazal written by Ameer Minai, because they happen to be hamradeef GHazals (i.e. the shers have the same ending words for the second line). Click here to see the version by Ameer.

Maintained by smriti.com.

Comments and Suggestions are welcome.