1.      miltee hai  KHoo-e-yaar se  naar  iltihaab meiN
        kaafir hooN gar na miltee ho raahat 'azaab meiN

        [ KHoo-e-yaar = lover's nature/behavior/habit, naar = fire,
          iltihaab = flame, 'azaab = sorrow ]

2.      kab  se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab meiN ?
        shab  haaye hijr ko bhee rakhooN gar hisaab meiN

        [ jahaan-e-KHaraab = world of problems, shab = night,
         hijr = separation ]

3.      taa fir  na  intezaar meiN neeNd aaye 'umr bhar
        aane  ka 'ahad  kar  gaye  aaye  jo KHwaab meiN

        [ taa = so that, 'ahad = promise ]

4.      qaasid  ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN
        maiN jaanta hooN  jo woh likhenge jawaab meiN

        [ qaasid = messenger ]

5.      mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha daur-e-jaam
        saaqee ne  kuchch mila  na  diya ho  sharaab meiN

        [ bazm = meeting/"mehafil", saaqee = bar tender ]

6.      jo   munkir-e-wafa   ho  fareb  us  pe  kya  chale ?
        kyooN badGHumaaN hooN dost se dushman ke baab meiN ?

        [ munkir-e-wafa = one who denies loyalty, fareb = illusion/fraud
          badGHumaaN = suspicious, baab = company ]

7.      maiN muztarib hooN wasl meiN KHauf-e-raqeeb se
        Daala hai  tumko weham ne kis pech-o-taab meiN

        [ muztarib = anxious/disturbed, wasl = meeting with the lover,
          KHauf = fear, raqeeb = opponent, pech-o-taab = predicament ]

8.      mai aur haz'z-e-wasl, KHudaa_saaz baat hai
        jaaN nazr  denee bhool  gaya iztiraab meiN

        [ mai = bar, haz'z-e-wasl = joy of meeting, KHudaa_saaz = god's gift,
          iztiraab = anxiety ]

9.      hai  tevaree  chaDee  huee andar  naqaab ke
        hai ik shikan paDee huee tarf-e-naqaab meiN

        [ shikan = wrinkle, tarf = eyelid ]

10.     laakhauN lagaav, ik churaana  nigaah ka
        laakhauN banaav, ik bigaaDna itaab meiN

        [ itaab = anger ]

11.     woh naala_dil meiN KHas ke baraabar jagah na paaye
        jis   naale    se   shigaaf   paDe   aaftaab  meiN

        [ naala_dil = crying heart, KHas = hay/grass, shigaaf = crack,
          aaftaab = sun/face ]

12.     woh sehar muddaa talbee meiN na kaam aaye
        jis sehar se safina ravaaN ho saraab meiN

        [ sehar = magic, muddaa talbee = fulfillment of a desire,
          safina = boat, ravaaN = move, saraab = mirage ]

13.     'GHalib' chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee
        peeta  hooN   roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab   meiN

        [ abr = clouds, roz-e-abr = cloudy day, maahtaab = moon ]

Maintained by smriti.com.

Comments and Suggestions are welcome.