Browse songs by

udhar hai husn ka jalawaa ... terii marazii hai jahaa.N

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

## prelude ##
ta: udhar hai husn ka jalawaa idhar hai ishq jawaa.N

aa: ye bahaaro.n kaa samaa.N ye muhabbat kaa jahaa.N

aa: terii marazii hai jahaa.N mujhe le chal tuu wahaa.N
chho.D sakatii huu.N muhabbat ke liye dono.n jahaa.N

ta: terii aa.Nkho.n me.n ghar apanaa basaa liyaa mai.nne
tujhe paayaa to zamaane ko paa liyaa mai.nne
aa: tujhe paayaa to zamaane ko paa liyaa mai.nne
ta: tujhe paayaa to zamaane ko paa liyaa mai.nne
aa: mere maathe kaa hai Tiikaa tere qadamo.n kaa nishaa.N
ta: ye bahaaro.n kaa samaa.N ye muhabbat kaa jahaa.N

aa: terii marazii hai jahaa.N mujhe le chal tuu wahaa.N
chho.D sakatii huu.N muhabbat ke liye dono.n jahaa.N

aa: ghar me.n jo rahataa thaa mehamaan ban gayaa dil kaa
roshanii aa.Nkho.n kii aramaan ban gayaa dil kaa
ta: roshanii aa.Nkho.n kii aramaan ban gayaa dil kaa
aa: roshanii aa.Nkho.n kii aramaan ban gayaa dil kaa
ta: zindagii bhii hai hasii.n aur tamannaa bhii hai jawaa.N

aa: terii marazii hai jahaa.N mujhe le chal tuu wahaa.N
ta: ye bahaaro.n kaa samaa.n ye muhbaat kaa jahaa.N
do: nahii.n maaluum ke dil ko liye jaataa hai kahaa.N
nahii.n maaluum ke dil ko liye jaataa hai kahaa.N

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Satish kalra
% Date: 22 Mar 2003
% Series: GEETanjali
% Comments: Probably the only Hindi film by Vasant Prabhu.
% Search words - gharbar ghar_baar gharabaar
% Credits : Naniwadekar, Gurcharan Sandhu
% generated using giitaayan
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image